जिन्दगी के मायने समझने में और इतना वक़्त लगाओगे,
कभी इन् छोटे छोटे पलो की खुशियों को निचोड़ कर तो देखो...
और इतना इंतज़ार लेहरे पीछे हटने का, इन् सीपियों के लिए.
कभी लेहेरो की आहटो में खोना भी सीखों...
और इतना औरों के इशारो पर नाचोगे,
और इतना औरों के इशारो पर नाचोगे,
कभी अपनी मस्ती में झूमकर तो देखों..
ये कैसी आधी आधी सी हस्सी है.
कभी खुलकर हस्सी के ठहाके लगाकर तो देखो..
आखीर मोती भी सीपियों के ज़ख्मों से ही बनता है..
कभी अपने ज़ख्मो को भी मुस्कुराहाट से देखो..
और इतनी ख्वाईशो के लिए आँखे मूँद लोगे,
कभी ज़िन्दगी की टहनियों पर लगे ख्वाइशो के फलो को भी चखो..
बातों का क्या है , बस दुनिया करती ही रहेगी.
कभी अपनी दिल की बात सुनकर, दिल की खिडकियों के परदे हटाकर तो देखों.
किश्तों की इस ज़िन्दगी के और इतने बहाने बनाओगे.
कभी मुस्कुराहटें बाटने के बहाने खोजकर तो देखो.
कब तक किनारे से ही नय्या देखते रहोगे.
कभी माज़ी बनकर , खिवैया से लेहरो को चिरकर तो देखों.
मोड आने के इंतज़ार में , सारे सफ़र में ये कैसी बेचैनी ?
कभी सफ़र के हर पल को जी कर तो देखो ..
कभी नफ़रत में प्यार , कभी सच्चे प्यार में इंतकाम के छीटे...
कभी दुरियो में पास होने का एहसास , कभी क़रीबी में फासलों का आभास...
कभी नम आखोँ में ख़ुशी का इशारा , कभी मुस्कान में छुपा दर्द..
कभी भीड़ में खो जाने का डर , कभी अकेलेपन के साये का डर..
कभी में बटी हुई इस ज़िन्दगी के रंगों में अपनेआप को रंग कर तो देखों ..
Zindagi ke mayane samajhne mein aur itna waqt lagaoge,
Kabhi inn chote chote palo ki khushiyo ko neechod kar to dekho…
Aur itna intezaar lehere piche hatane ka ,inn seepiyo ke liye,
Kabhi lehero ki aahatoin mein khona bhi seekho..
Aur itna auro ke ishare par nachoge
Kabhi apni masti mein jhumkar to dekho
Ye kaisi aadhi aadhi si hassi hai
Kabhi khulkar hassi ke thahake lagakar to dekho..
Aakhir moti bhi seepiyo ke zakhmo se hi banta hai
Kabhi apne zakhmo ko bhi muskurahaat se dekho…
Aur itni khwaisho ke liye aankhe moond loge
Kabhi zindagi ki tehniyo par lage khwaisho ke phalo ko bhi chakho..
Baaton ka kya hai, bas duniya karti hi rahegi
Kabhi apni dil ki baat sunkar, dil ki khidkiyo ke parde hatakar to dekho…
Kishto ki iss zindagi ke aur itne bahane banaoge,
Kabhi Muskurahate battane ke bahane dhunkar to dekho..
Kab tak kinare se hi nayya dekhte rahoge,
Kabhi mazi banaker, khewayya se leharo ko chirkar to dekho..
Modd Ane ke intezaar mein, saare safar mein ye kaisi bechaini,
Kabhi safar ke har pal ko jeekar to dekho..
Kabhi nafarat mein pyar, kabhi sachhe pyar mein intkaam ke sheete,
Kabhi duriyo mein pass hone ka ehsaas, kabhi karibi mein faslo ka abhaas,
Kabhi namm aakhon mein khushi ka ishara, Kabhi muskaan mein chupa dard,
Kabhi bheed mein kho jane ka darr, Kabhi akelepan ke saaye ka darr,
Kabhi mein bati hui iss zindagi ke rango mein apneaap ko kabhi rangkar to dekho...